wo ik haseen shaam-e-nau, kab aayi kab guzar gayi
wo jaane kis nagar ki thi, na jaane kis dagar gayi
tamaam guftagu ke baad bhi ye dil bhara nahin
wo jis kadar taweel thi wo utni mukhtasar gayi
mujhe laga main rok lun, ki haal-e-dil suna sakun
ye soch kar chhuaa use to daf'atan bifar gayi
shafaq ke rang bhar uthe zabeeN pe aagayi latein
chalo ye maana wo hui khafa magar nikhar gayi
wo ik nigaah-e-aakhiri wo ankahi si daastaaN
na jaane kitne dard the jo naam mere kar gayi
chali gayi, ruki nahin, main rokta hi rah gaya,
siyaahiyon mein ghul ghula ke sab taraf bikhar gayi
charaagh-e-zindagi ka ab, bayaan-e-gham mein kya karun
jo shamma ik jalaayi thi wo teeragi pe mar gayi
-----------------------------------------------------------------------------
वो इक हसीन शाम-ए-नौ, कब आई कब गुज़र गयी,
वो जाने किस नगर की थी, न जाने किस डगर गयी,
तमाम गुफ्तुगू के बाद भी ये दिल भरा नहीं,
वो जिस कदर तवील थी, वो उतनी मुख़्तसर गयी
मुझे लगा मैं रोक लूँ कि हाल-ए-दिल सुना सकूँ,
ये सोच कर छुआ उसे तो दफ'अतन बिफर गयी,
शफ़क़ के रंग भर उठे, ज़बीं पे आ गयीं लटें,
चलो ये माना वो हुई खफा मगर निखर गयी,
वो इक निगाह ए आखिरी, वो अनकही सी दास्ताँ,
न जाने कितने दर्द थे जो नाम मेरे कर गयी,
चली गयी, रुकी नहीं, मैं रोकता ही रह गया,
सियाहियों में घुल घुला के सब तरफ बिखर गयी,
चिराग़-ए-ज़िन्दगी का अब, बयान-ए-ग़म मैं क्या करूँ,
जो शम्मा इक जलाई थी वो तीरगी पे मर गयी।
--------------------------------------------------
'Lams'